rang chehre pe ghula ho jaise
rañg chehre pe ghulā ho jaise
ā.īna dekh rahā ho jaise
yaad hai us se bichhaḌne kā samāñ
shāḳh se phuul judā ho jaise
har qadam sahte haiñ lamhoñ kā azaab
zindagī koī ḳhatā ho jaise
yuuñ jagā detī hai dil kī dhaḌkan
us ke qadmoñ kī sadā ho jaise
zindagī yuuñ hai gurezāñ 'sarvat'
ham ne kuchh maañg liyā ho jaise
rang chehre pe ghula ho jaise
aaina dekh raha ho jaise
yaad hai us se bichhaDne ka saman
shaKH se phul juda ho jaise
har qadam sahte hain lamhon ka azab
zindagi koi KHata ho jaise
yun jaga deti hai dil ki dhaDkan
us ke qadmon ki sada ho jaise
zindagi yun hai gurezan 'sarwat'
hum ne kuchh mang liya ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.