rang dekha teri tabiat ka
rañg dekhā tirī tabī.at kā
ho chukā imtihāñ mohabbat kā
yahī naqsha rahā jo furqat kā
but banā leñge terī sūrat kā
na milo tum gale raqīboñ se
ḳhuun hotā hai merī hasrat kā
terī raftār ne nishān diyā
naam sunte the ham qayāmat kā
dekhtā huuñ parī-jamāloñ ko
mujh ko lapkā hai achchhī sūrat kā
miltī-jultī hai zulf-e-shab-gūñ se
kyā muqaddar hai shām-e-furqat kā
terī Thokar ke aage o zālim
paañv jamtā nahīñ qayāmat kā
vo mire haal par tire altāf
vo zamāna tirī mohabbat kā
sun ke dushman kī baat pī jā.ūñ
muqtazā ye nahīñ hai ġhairat kā
vo bigaḌte haiñ mujh se ban ban kar
rañg-e-ruḳh rañg hai tabī.at kā
jānte haiñ 'faroġh' ko ham bhī
ik yahī shaḳhs hai muravvat kā
rang dekha teri tabiat ka
ho chuka imtihan mohabbat ka
yahi naqsha raha jo furqat ka
but bana lenge teri surat ka
na milo tum gale raqibon se
KHun hota hai meri hasrat ka
teri raftar ne nishan diya
nam sunte the hum qayamat ka
dekhta hun pari-jamalon ko
mujh ko lapka hai achchhi surat ka
milti-julti hai zulf-e-shab-gun se
kya muqaddar hai sham-e-furqat ka
teri Thokar ke aage o zalim
panw jamta nahin qayamat ka
wo mere haal par tere altaf
wo zamana teri mohabbat ka
sun ke dushman ki baat pi jaun
muqtaza ye nahin hai ghairat ka
wo bigaDte hain mujh se ban ban kar
rang-e-ruKH rang hai tabiat ka
jaante hain 'farogh' ko hum bhi
ek yahi shaKHs hai murawwat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.