rang duniya ne dikhaya hai nirala dekhun
rañg duniyā ne dikhāyā hai nirālā dekhūñ
hai añdhere meñ ujālā to ujālā dekhūñ
aa.ina rakh de mire sāmne āḳhir maiñ bhī
kaisā lagtā hai tirā chāhne vaalā dekhūñ
kal talak vo jo mire sar kī qasam khātā thā
aaj sar us ne mirā kaise uchhālā dekhūñ
mujh se maazī mirā kal raat simaT kar bolā
kis tarah maiñ ne yahāñ ḳhud ko sambhālā dekhūñ
jis ke āñgan se khule the mire saare raste
us havelī pe bhalā kaise maiñ taalā dekhūñ
rang duniya ne dikhaya hai nirala dekhun
hai andhere mein ujala to ujala dekhun
aaina rakh de mere samne aaKHir main bhi
kaisa lagta hai tera chahne wala dekhun
kal talak wo jo mere sar ki qasam khata tha
aaj sar us ne mera kaise uchhaala dekhun
mujh se mazi mera kal raat simaT kar bola
kis tarah main ne yahan KHud ko sambhaala dekhun
jis ke aangan se khule the mere sare raste
us haweli pe bhala kaise main tala dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.