rang-e-ishrat jo kahin gham mein badal jaega
rang-e-ishrat jo kahīñ ġham meñ badal jā.egā
aañsū aañsū tirī tasvīr meñ Dhal jā.egā
yuuñ na dekho mujhe lillāh jhukā lo nazreñ
jalva-e-nūr se ye husn pighal jā.egā
nik.hat-e-husn se hai ishq ke gulshan meñ bahār
ham na hoñge to ye mausam bhī badal jā.egā
jo dhaḌaktā hai mire siine meñ jazba ban kar
ban ke ik naam mire lab pe machal jā.egā
shām-e-tanhā.ī koī ḳhvāb sajā le 'naġhma'
dil kī vīrānī kā māhaul badal jā.egā
rang-e-ishrat jo kahin gham mein badal jaega
aansu aansu teri taswir mein Dhal jaega
yun na dekho mujhe lillah jhuka lo nazren
jalwa-e-nur se ye husn pighal jaega
nikhat-e-husn se hai ishq ke gulshan mein bahaar
hum na honge to ye mausam bhi badal jaega
jo dhaDakta hai mere sine mein jazba ban kar
ban ke ek nam mere lab pe machal jaega
sham-e-tanhai koi KHwab saja le 'naghma'
dil ki virani ka mahaul badal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.