rang-e-KHwabida mein jadu ke alawa tum ho
rañg-e-ḳhvābīda meñ jaadū ke alāva tum ho
dil meñ rakkhī huī ḳhushbū ke alāva tum ho
duur tak phailī huī raah mujhe khīñchtī hai
aur is raah pe jugnū ke alāva tum ho
merī āñkhoñ se nahīñ dil se numū paatī huī
shāḳh-e-ehsās man-o-tū ke alāva tum ho
surma.ī dhuup hai dariyā hai kināre haiñ miyāñ
mauj-dar-mauj is aañsū ke alāva tum ho
pāniyoñ par koī tasvīr nahīñ ban paatī
merī ḳhvāhish meñ lab-e-jū ke alāva tum ho
zaḳhm gintā huuñ maiñ āñkhoñ ko lahū kartā huuñ
mere pahlū meñ bhī pahlū ke alāva tum ho
rang-e-KHwabida mein jadu ke alawa tum ho
dil mein rakkhi hui KHushbu ke alawa tum ho
dur tak phaili hui rah mujhe khinchti hai
aur is rah pe jugnu ke alawa tum ho
meri aankhon se nahin dil se numu pati hui
shaKH-e-ehsas man-o-tu ke alawa tum ho
surmai dhup hai dariya hai kinare hain miyan
mauj-dar-mauj is aansu ke alawa tum ho
paniyon par koi taswir nahin ban pati
meri KHwahish mein lab-e-ju ke alawa tum ho
zaKHm ginta hun main aankhon ko lahu karta hun
mere pahlu mein bhi pahlu ke alawa tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.