rang-e-sanam-kada jo zara yaad aa gaya
rañg-e-sanam-kada jo zarā yaad aa gayā
TūTīñ vo bijliyāñ ki ḳhudā yaad aa gayā
har-chand dil ko tark-e-mohabbat kā thā ḳhayāl
lekin kisī kā ahd-e-vafā yaad aa gayā
jaise kisī ne chhīn lī rañgīnī-e-bahār
kyā jāniye bahār meñ kyā yaad aa gayā
rahmat nazar bachā ke nikalne ko thī magar
vo irti.āsh-e-dast-e-duā yaad aa gayā
allāh re sitam ki unheñ mujh ko dekh kar
sab kuchh mohabbatoñ ke sivā yaad aa gayā
rang-e-sanam-kada jo zara yaad aa gaya
TuTin wo bijliyan ki KHuda yaad aa gaya
har-chand dil ko tark-e-mohabbat ka tha KHayal
lekin kisi ka ahd-e-wafa yaad aa gaya
jaise kisi ne chhin li rangini-e-bahaar
kya jaaniye bahaar mein kya yaad aa gaya
rahmat nazar bacha ke nikalne ko thi magar
wo irtiash-e-dast-e-dua yaad aa gaya
allah re sitam ki unhen mujh ko dekh kar
sab kuchh mohabbaton ke siwa yaad aa gaya
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 176)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.