rang-e-sohbat uDa jabinon se
rang-e-sohbat uḌā jabīnoñ se
jab marāsim hue mashīnoñ se
kaun uThātā hai ab parā.e ġham
log Darte haiñ āstīnoñ se
dushmanī apnī ḳhāndānī thī
dostī thī magar kamīnoñ se
ḳhātimussādiqīn haiñ ham log
so nikāle ga.e zamīnoñ se
ham ne āvārgī meñ siikh liyā
bach ke rahnā hai rah-nashīnoñ se
rang-e-sohbat uDa jabinon se
jab marasim hue mashinon se
kaun uThata hai ab parae gham
log Darte hain aastinon se
dushmani apni KHandani thi
dosti thi magar kaminon se
KHatimussadiqin hain hum log
so nikale gae zaminon se
hum ne aawargi mein sikh liya
bach ke rahna hai rah-nashinon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.