rang hawa mein phail raha hai
rañg havā meñ phail rahā hai
dekho kaisā phuul khilā hai
mere us ke biich badan hai
aur badan meñ dil dariyā hai
kis ko batā.ūñ kaise batā.ūñ
sannāTe meñ shor chhupā hai
is bastī ke ba.ad hai sahrā
us ke ba.ad na jaane kyā hai
ghar se bāhar niklo zarā
dekho kitnī tez havā hai
rang hawa mein phail raha hai
dekho kaisa phul khila hai
mere us ke bich badan hai
aur badan mein dil dariya hai
kis ko bataun kaise bataun
sannaTe mein shor chhupa hai
is basti ke baad hai sahra
us ke baad na jaane kya hai
ghar se bahar niklo zara
dekho kitni tez hawa hai
- Book : Rang hava main phel raha hai (Pg. 196)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.