rang is mausam mein bharna chahiye
rañg is mausam meñ bharnā chāhiye
sochtī huuñ pyaar karnā chāhiye
zindagī ko zindagī ke vāste
roz jiinā roz marnā chāhiye
dostī se tajraba ye ho gayā
dushmanoñ se pyaar karnā chāhiye
pyaar kā iqrār dil meñ ho magar
koī pūchhe to mukarnā chāhiye
rang is mausam mein bharna chahiye
sochti hun pyar karna chahiye
zindagi ko zindagi ke waste
roz jina roz marna chahiye
dosti se tajraba ye ho gaya
dushmanon se pyar karna chahiye
pyar ka iqrar dil mein ho magar
koi puchhe to mukarna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.