rang jab koi lab-e-dida-e-tar aaega
rang jab koī lab-e-dīda-e-tar aa.egā
naqsh kyā kyā na kaf-e-ḳhāk meñ dar aa.egā
haft aflāk ke āhang-e-farāmoshī ko
dekhte rahiye ki dīvār meñ dar aa.egā
maiñ to bach bach ke zamāne se chalūñgā lekin
aane vāloñ ko mirā naqsh nazar aa.egā
jaane kab hadd-e-zamāñ aur makāñ rāsta deñ
ek sayyāra udhar hai jo idhar aa.egā
rang jab koi lab-e-dida-e-tar aaega
naqsh kya kya na kaf-e-KHak mein dar aaega
haft aflak ke aahang-e-faramoshi ko
dekhte rahiye ki diwar mein dar aaega
main to bach bach ke zamane se chalunga lekin
aane walon ko mera naqsh nazar aaega
jaane kab hadd-e-zaman aur makan rasta den
ek sayyara udhar hai jo idhar aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.