rang jamne na diya baat ko chalne na diya
rañg jamne na diyā baat ko chalne na diyā
koī pahlū mire matlab kā nikalne na diyā
kuchh sahārā bhī hameñ roz-e-azal ne na diyā
dil badalne na diyā baḳht badalne na diyā
koī armāñ tire jalvoñ ne nikalne na diyā
hosh aane na diyā ġhash se sambhalne na diyā
chāhte the ki payāmī ko patā deñ terā
rashk ne naam tirā muñh se nikalne na diyā
sham.a-rū maiñ ne kahā thā mirī zid se us ne
sham.a ko bazm meñ apne kabhī jalne na diyā
rang jamne na diya baat ko chalne na diya
koi pahlu mere matlab ka nikalne na diya
kuchh sahaara bhi hamein roz-e-azal ne na diya
dil badalne na diya baKHt badalne na diya
koi arman tere jalwon ne nikalne na diya
hosh aane na diya ghash se sambhalne na diya
chahte the ki payami ko pata den tera
rashk ne nam tera munh se nikalne na diya
shama-ru main ne kaha tha meri zid se us ne
shama ko bazm mein apne kabhi jalne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.