rang lae hain gham-e-dil ke zamane kya kya
rañg laa.e haiñ ġham-e-dil ke zamāne kyā kyā
ik haqīqat ne tarāshe haiñ fasāne kyā kyā
ab to muddat se haiñ be-ḳhvāb hamārī āñkheñ
ham ne dekhe the kabhī ḳhvāb suhāne kyā kyā
kaash insān ko idrāk-e-hunar ho saktā
haiñ nihāñ paikar-e-ḳhākī meñ ḳhazāne kyā kyā
zindagī mahv-e-tamāshā hai baḌī hairat se
ai ajal haiñ tire aane ke bahāne kyā kyā
jānñā ye bhī to is ahd meñ dushvār huā
jaane kyā kyā koī shaḳhs aur na jaane kyā kyā
us kī is sāda-dilī par taras aatā hai mujhe
kah gayā mujh se chhupāne ke bahāne kyā kyā
maiñ ne kyā kyā na kiye us ko bulāne ke jatan
aur kiye us ne na aane ke bahāne kyā kyā
zaḳhm-e-dil dāġh-e-jigar nāla-e-shab āh-e-sahar
gul khilā.e haiñ mire zauq-e-vafā ne kyā kyā
qahr hai tazkira-e-ahd-e-guzishta 'at.har'
taaza ho jaate haiñ phir zaḳhm purāne kyā kyā
rang lae hain gham-e-dil ke zamane kya kya
ek haqiqat ne tarashe hain fasane kya kya
ab to muddat se hain be-KHwab hamari aankhen
hum ne dekhe the kabhi KHwab suhane kya kya
kash insan ko idrak-e-hunar ho sakta
hain nihan paikar-e-KHaki mein KHazane kya kya
zindagi mahw-e-tamasha hai baDi hairat se
ai ajal hain tere aane ke bahane kya kya
jaanna ye bhi to is ahd mein dushwar hua
jaane kya kya koi shaKHs aur na jaane kya kya
us ki is sada-dili par taras aata hai mujhe
kah gaya mujh se chhupane ke bahane kya kya
main ne kya kya na kiye us ko bulane ke jatan
aur kiye us ne na aane ke bahane kya kya
zaKHm-e-dil dagh-e-jigar nala-e-shab aah-e-sahar
gul khilae hain mere zauq-e-wafa ne kya kya
qahr hai tazkira-e-ahd-e-guzishta 'athar'
taza ho jate hain phir zaKHm purane kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.