rang maila na hua jama-e-uryani ka
rañg mailā na huā jāma-e-uryānī kā
sar-o-sāmāñ hai hameñ be-sar-o-sāmānī kā
ā.īna dekhe hai vo aur use ā.īna
zor aalam hai dilā ālam-e-hairānī kā
dam-e-hastī pe habāb apnī abas ubhre thā
aañkh khulte hī maqām us pe khulā faanī kā
tishnagī ḳhaak bujhe ashk kī tuġhyānī se
ain barsāt meñ bigḌe hai mazā paanī kā
zulf gar khīñch sake yaar ke tū shāne se
haath yak-dast qalam kījiyegā 'mānī' kā
jhaḌ ga.ī abar-e-bahārī kī bhī sheḳhī lekin
na ghaTā zor mire ashk kī tuġhyānī kā
ai junūñ roz rahe hai mire dāman se lagā
huuñ qadam-bos na kyuuñ ḳhār-e-bayābānī kā
kyuuñ na añgusht-numā hove hilāl-abrū
zor aalam hai tire qashqa-e-peshānī kā
dil na chhuT zulf-e-butāñ chashm kā bāñdhe hai ḳhayāl
yaad mazmūñ hai pareshāñ ko pareshānī kā
jām-o-mīnā jo bane aabla o daaġh 'nasīr'
dil ne sāmān kiyā kis kī ye mehmānī kā
rang maila na hua jama-e-uryani ka
sar-o-saman hai hamein be-sar-o-samani ka
aaina dekhe hai wo aur use aaina
zor aalam hai dila aalam-e-hairani ka
dam-e-hasti pe habab apni abas ubhre tha
aankh khulte hi maqam us pe khula fani ka
tishnagi KHak bujhe ashk ki tughyani se
ain barsat mein bigDe hai maza pani ka
zulf gar khinch sake yar ke tu shane se
hath yak-dast qalam kijiyega 'mani' ka
jhaD gai abar-e-bahaari ki bhi sheKHi lekin
na ghaTa zor mere ashk ki tughyani ka
ai junun roz rahe hai mere daman se laga
hun qadam-bos na kyun KHar-e-bayabani ka
kyun na angusht-numa howe hilal-abru
zor aalam hai tere qashqa-e-peshani ka
dil na chhuT zulf-e-butan chashm ka bandhe hai KHayal
yaad mazmun hai pareshan ko pareshani ka
jam-o-mina jo bane aabla o dagh 'nasir'
dil ne saman kiya kis ki ye mehmani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.