rang parida zulf pareshan
rang parīda zulf pareshāñ
chashm-e-ġhazālāñ hairāñ hairāñ
gesu-e-mushkīñ shab kī siyāhī
sūrat ḳhandāñ māh-e-tābāñ
pahlī pahlī baar mile to
vo bhī nādāñ ham bhī nādāñ
un kā vo iz.hār-e-mohabbat
thoḌā zāhir thoḌā pinhāñ
un kī hālat vaqt-e-ruḳhsat
hoñT larazte āñkheñ giryāñ
un kā achānak tark-e-ta.alluq
mirī shikast-o-reḳht kā sāmāñ
mil jaate haiñ raahe gaahe
nādim nādim ḳhud se pashemāñ
ishq kī chashm-e-yās kā aalam
pur-nam pur-nam sozāñ sozāñ
'sayyad' hijr meñ yuuñ jiite haiñ
koī hai ḳhvāhish aur na armāñ
rang parida zulf pareshan
chashm-e-ghazalan hairan hairan
gesu-e-mushkin shab ki siyahi
surat KHandan mah-e-taban
pahli pahli bar mile to
wo bhi nadan hum bhi nadan
un ka wo izhaar-e-mohabbat
thoDa zahir thoDa pinhan
un ki haalat waqt-e-ruKHsat
honT larazte aankhen giryan
un ka achanak tark-e-talluq
meri shikast-o-reKHt ka saman
mil jate hain rahe gahe
nadim nadim KHud se pasheman
ishq ki chashm-e-yas ka aalam
pur-nam pur-nam sozan sozan
'sayyad' hijr mein yun jite hain
koi hai KHwahish aur na arman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.