rang us ka naya nazar aaya
rañg us kā nayā nazar aayā
shaam thā dhuup sā nazar aayā
vahī kamra vahī thā sab sāmān
vo magar dūsrā nazar aayā
rāste meñ vo aa gayā thā nazar
phir kahāñ rāsta nazar aayā
vo galī dūsrī nazar aa.ī
dar-o-dīvār sā nazar aayā
vo jo ta.abīr thā mujhe ik din
ḳhvāb hotā huā nazar aayā
jo mayassar hai is meñ bas 'ḳhāvar'
dil hī kuchh kaam kā nazar aayā
rang us ka naya nazar aaya
sham tha dhup sa nazar aaya
wahi kamra wahi tha sab saman
wo magar dusra nazar aaya
raste mein wo aa gaya tha nazar
phir kahan rasta nazar aaya
wo gali dusri nazar aai
dar-o-diwar sa nazar aaya
wo jo tabir tha mujhe ek din
KHwab hota hua nazar aaya
jo mayassar hai is mein bas 'KHawar'
dil hi kuchh kaam ka nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.