rangin-ada-e-dahr ki gardan maroD do
rangīñ-adā-e-dahr kī gardan maroḌ do
nāsūr-e-zindagī hai to zaḳhmoñ ko phoḌ do
afsurda rāhgīr kā hai ye sukūñ-rasā
pīpal kī samt se zarā teshe ko moḌ do
hai naaz sang ko ki vahī ik hai vajh-e-zaḳhm
shīshe ko aaj us ke muqābil meñ chhoḌ do
yādoñ kī shab ye kahtī hai anvār-e-sub.h se
zinda nuqūsh hoñge tasalsul ko toḌ do
gar chāho mauj-e-zīst sadā dauḌtī rahe
sar misl-e-bahr sīna-e-sāhil pe chhoḌ do
dāman ke surḳh rang pe itnā malāl kyoñ
ālūda ḳhuuñ se hai to pakaḌ kar nichoḌ do
bām-e-taḳhayyulāt ko chhūnā hai gar tumheñ
'qudsī' har ek lafz kī dīvār toḌ do
rangin-ada-e-dahr ki gardan maroD do
nasur-e-zindagi hai to zaKHmon ko phoD do
afsurda rahgir ka hai ye sukun-rasa
pipal ki samt se zara teshe ko moD do
hai naz sang ko ki wahi ek hai wajh-e-zaKHm
shishe ko aaj us ke muqabil mein chhoD do
yaadon ki shab ye kahti hai anwar-e-subh se
zinda nuqush honge tasalsul ko toD do
gar chaho mauj-e-zist sada dauDti rahe
sar misl-e-bahr sina-e-sahil pe chhoD do
daman ke surKH rang pe itna malal kyon
aaluda KHun se hai to pakaD kar nichoD do
baam-e-taKHayyulat ko chhuna hai gar tumhein
'qudsi' har ek lafz ki diwar toD do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.