ranj-e-firaq-e-yar mein ruswa nahin hua
ranj-e-firāq-e-yār meñ rusvā nahīñ huā
itnā maiñ chup huā ki tamāshā nahīñ huā
aisā safar hai jis meñ koī ham-safar nahīñ
rasta hai is tarah kā jo dekhā nahīñ huā
mushkil huā hai rahnā hameñ is dayār meñ
barsoñ yahāñ rahe haiñ ye apnā nahīñ huā
vo kaam shāh-e-shahr se yā shahr se huā
jo kaam bhī huā hai vo achchhā nahīñ huā
milnā thā ek baar use phir kahīñ 'munīr'
aisā meñ chāhtā thā par aisā nahīñ huā
ranj-e-firaq-e-yar mein ruswa nahin hua
itna main chup hua ki tamasha nahin hua
aisa safar hai jis mein koi ham-safar nahin
rasta hai is tarah ka jo dekha nahin hua
mushkil hua hai rahna hamein is dayar mein
barson yahan rahe hain ye apna nahin hua
wo kaam shah-e-shahr se ya shahr se hua
jo kaam bhi hua hai wo achchha nahin hua
milna tha ek bar use phir kahin 'munir'
aisa mein chahta tha par aisa nahin hua
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 852)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.