ranj itne mile zamane se
rañj itne mile zamāne se
lab chaTaḳhte haiñ muskurāne se
dhundlī dhundlī sī paḌ ga.ī yādeñ
zaḳhm bhī ho ga.e purāne se
mat banāo ye kāñch ke rishte
TuuT jā.eñge āzmāne se
tīrgī shab kī kam nahīñ hogī
ghar ke andar diye jalāne se
aql ne dil ko kar diyā hushiyār
bach ga.e ham fareb khāne se
ho hī jā.eñge ham rihā ik din
chhūT jā.eñge qaid-ḳhāne se
ai 'siyā' tañg aa chukī huuñ maiñ
hausle kī chitā jalāne se
ranj itne mile zamane se
lab chaTaKHte hain muskurane se
dhundli dhundli si paD gai yaaden
zaKHm bhi ho gae purane se
mat banao ye kanch ke rishte
TuT jaenge aazmane se
tirgi shab ki kam nahin hogi
ghar ke andar diye jalane se
aql ne dil ko kar diya hushiyar
bach gae hum fareb khane se
ho hi jaenge hum riha ek din
chhuT jaenge qaid-KHane se
ai 'siya' tang aa chuki hun main
hausle ki chita jalane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.