ranj khinche the dagh khae the
rañj khīñche the daaġh khaa.e the
dil ne sadme baḌe uThā.e the
pās-e-nāmūs-e-ishq thā varna
kitne aañsū palak tak aa.e the
vahī samjhā na varna ham ne to
zaḳhm chhātī ke sab dikhā.e the
ab jahāñ āftāb meñ ham haiñ
yaañ kabhū sarv o gul ke saa.e the
kuchh na samjhe ki tujh se yāroñ ne
kis tavaqqo.a pe dil lagā.e the
fursat-e-zindagī se mat pūchho
saañs bhī ham na lene paa.e the
'mīr' sāhab rulā ga.e sab ko
kal ve tashrīf yaañ bhī laa.e the
ranj khinche the dagh khae the
dil ne sadme baDe uThae the
pas-e-namus-e-ishq tha warna
kitne aansu palak tak aae the
wahi samjha na warna hum ne to
zaKHm chhati ke sab dikhae the
ab jahan aaftab mein hum hain
yan kabhu sarw o gul ke sae the
kuchh na samjhe ki tujh se yaron ne
kis tawaqqoa pe dil lagae the
fursat-e-zindagi se mat puchho
sans bhi hum na lene pae the
'mir' sahab rula gae sab ko
kal we tashrif yan bhi lae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.