ranj ki KHugar tabiat ho gai
rañj kī ḳhūgar tabī.at ho ga.ī
lījiye jiine kī sūrat ho ga.ī
aap nāhaq ho rahe haiñ sharmsār
merī jo honī thī hālat ho ga.ī
ho ga.e dīvāne ham achchhā huā
roz ke jhagḌoñ se fursat ho ga.ī
ek kāñTā sā khaTaktā hai mudām
dil kī dushman dil kī hasrat ho ga.ī
mai-kashī kī kyā kahūñ 'rahbar' ki ye
hote hote merī aadat ho ga.ī
ranj ki KHugar tabiat ho gai
lijiye jine ki surat ho gai
aap nahaq ho rahe hain sharmsar
meri jo honi thi haalat ho gai
ho gae diwane hum achchha hua
roz ke jhagDon se fursat ho gai
ek kanTa sa khaTakta hai mudam
dil ki dushman dil ki hasrat ho gai
mai-kashi ki kya kahun 'rahbar' ki ye
hote hote meri aadat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.