ranj kyun ai mah-e-kanan kijiye
Interesting Fact
June 1937
rañj kyuuñ ai māh-e-kan.āñ kījiye
chaliye shukr-e-chāk-dāmāñ kījiye
uzr-e-betābī kā sāmāñ kījiye
hosh be-hoshī pe qurbāñ kījiye
aaj phir rakh kar binā-e-āshiyāñ
jī meñ hai bijlī ko mehmāñ kījiye
be-niyāz-e-his hai merī be-ḳhudī
dard hī kab hai ki darmāñ kījiye
qissa-e-dil likh chuke 'mānī' bas ab
ḳhuuñ ke aañsū zeb-e-unvāñ kījiye
ranj kyun ai mah-e-kanan kijiye
chaliye shukr-e-chaak-daman kijiye
uzr-e-betabi ka saman kijiye
hosh be-hoshi pe qurban kijiye
aaj phir rakh kar bina-e-ashiyan
ji mein hai bijli ko mehman kijiye
be-niyaz-e-his hai meri be-KHudi
dard hi kab hai ki darman kijiye
qissa-e-dil likh chuke 'mani' bas ab
KHun ke aansu zeb-e-unwan kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.