ranj nahin koi bhi agar main TuTa hun
rañj nahīñ koī bhī agar maiñ TuuTā huuñ
biivī bachche bhaa.ī bahan meñ bikhrā huuñ
andar andar TuuT rahā thā roz vo shaḳhs
koī pūchhe to kahtā thā achchhā huuñ
rindoñ se bhī rasm-o-rāh rahī apnī
ahl-e-vara kī sohbat meñ bhī rahtā huuñ
sach-much bebas haiñ yā behis haiñ ham sab
tum bhī socho maiñ bhī sochā kartā huuñ
'shārid' aisī baat hai āḳhir kyā mujh meñ
aaj bhī un āñkhoñ ka mehvar hotā hai
ranj nahin koi bhi agar main TuTa hun
biwi bachche bhai bahan mein bikhra hun
andar andar TuT raha tha roz wo shaKHs
koi puchhe to kahta tha achchha hun
rindon se bhi rasm-o-rah rahi apni
ahl-e-wara ki sohbat mein bhi rahta hun
sach-much bebas hain ya behis hain hum sab
tum bhi socho main bhi socha karta hun
'shaarid' aisi baat hai aaKHir kya mujh mein
aaj bhi un aankhon ka mehwar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.