ranj-o-azar dekhna hai hamein
ranj-o-āzār dekhnā hai hameñ
aur lagātār dekhnā hai hameñ
phir se aa.egī ek sub.h na.ī
phir se aḳhbār dekhnā hai hameñ
tere jaisā hī kaash tujh ko mile
tujh ko bīmār dekhnā hai hameñ
husn ko aazmā ke dekh liyā
ab ke kirdār dekhnā hai hameñ
aise kaise kisī ko chāhe phireñ
apnā me'yār dekhnā hai hameñ
yūñhī bāñhoñ meñ jaan simTī raho
saarā sansār dekhnā hai hameñ
haiñ kahāñ gum sharāb āñkheñ tirī
ḳhud ko sarshār dekhnā hai hameñ
DhūñD kar laao mere paas use
yāroñ dildār dekhnā hai hameñ
ranj-o-azar dekhna hai hamein
aur lagatar dekhna hai hamein
phir se aaegi ek subh nai
phir se aKHbar dekhna hai hamein
tere jaisa hi kash tujh ko mile
tujh ko bimar dekhna hai hamein
husn ko aazma ke dekh liya
ab ke kirdar dekhna hai hamein
aise kaise kisi ko chahe phiren
apna me'yar dekhna hai hamein
yunhi banhon mein jaan simTi raho
sara sansar dekhna hai hamein
hain kahan gum sharab aankhen teri
KHud ko sarshaar dekhna hai hamein
DhunD kar lao mere pas use
yaron dildar dekhna hai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.