ranj-o-alam ke bab ka unwan ishq hai
rañj-o-alam ke baab kā 'unvān 'ishq hai
īsār ke nisāb kā 'unvān 'ishq hai
aġhyār kā ḳhayāl jo dil se nikāl de
hurmat ke us sarāb kā 'unvān 'ishq hai
mahsūs āftāb kī jis se na ho tapish
gesū ke us sahāb kā 'unvān 'ishq hai
har dam tayyār hai jo karā.e ko sar qalam
aise jarī shabāb kā 'unvān 'ishq hai
anjām garche tuur hai ḳhvāhish ke baab kā
dīdār be-hijāb kā 'unvān 'ishq hai
pahle guzar ho aag se paanī se ḳhaak se
phir jāvedāñ ḳhitāb kā 'unvān 'ishq hai
zulmāt se nikāl ke 'sahbā' jo nuur de
raushan usī kitāb kā 'unvān 'ishq hai
ranj-o-alam ke bab ka 'unwan 'ishq hai
isar ke nisab ka 'unwan 'ishq hai
aghyar ka KHayal jo dil se nikal de
hurmat ke us sarab ka 'unwan 'ishq hai
mahsus aaftab ki jis se na ho tapish
gesu ke us sahab ka 'unwan 'ishq hai
har dam tayyar hai jo karae ko sar qalam
aise jari shabab ka 'unwan 'ishq hai
anjam garche tur hai KHwahish ke bab ka
didar be-hijab ka 'unwan 'ishq hai
pahle guzar ho aag se pani se KHak se
phir jawedan KHitab ka 'unwan 'ishq hai
zulmat se nikal ke 'sahba' jo nur de
raushan usi kitab ka 'unwan 'ishq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.