ranj-o-alam ki baadh mein iman bah gaya
ranj-o-alam kī baaḌh meñ īmān bah gayā
beTī ke jab jahez kā sāmān bah gayā
kuchh is tarah se TuuT ke ro.e tamām raat
jo bach gayā thā āḳhirī armān bah gayā
kal raat maiñ ne ḳhvāb meñ dekhā hai ek ḳhvāb
insāf āñkheñ pā gayā mīzān bah gayā
ye raaz khul sakā na kabhī is shu.ūr par
kyoñ mauj-e-ġham meñ ruuh kā juzdān bah gayā
ḳhāliq ko jaan kar bhī na pahchān paayā jab
us vaqt is ġhurūr meñ shaitān bah gayā
halkān ho rahī huuñ maiñ ye soch soch kar
sailāb-e-shar meñ kyoñ bhalā insān bah gayā
sajde meñ gir ke ashk bahā.e the 'shāz' chaar
dil kā makīn ruuh kā ḳhaljān bah gayā
ranj-o-alam ki baDh mein iman bah gaya
beTi ke jab jahez ka saman bah gaya
kuchh is tarah se TuT ke roe tamam raat
jo bach gaya tha aaKHiri arman bah gaya
kal raat main ne KHwab mein dekha hai ek KHwab
insaf aankhen pa gaya mizan bah gaya
ye raaz khul saka na kabhi is shuur par
kyon mauj-e-gham mein ruh ka juzdan bah gaya
KHaliq ko jaan kar bhi na pahchan paya jab
us waqt is ghurur mein shaitan bah gaya
halkan ho rahi hun main ye soch soch kar
sailab-e-shar mein kyon bhala insan bah gaya
sajde mein gir ke ashk bahae the 'shaz' chaar
dil ka makin ruh ka KHaljaan bah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.