ranj-o-alam satae to kahti hun main ghazal
ranj-o-alam satā.e to kahtī huuñ maiñ ġhazal
furqat jo jaañ jalā.e to kahtī huuñ maiñ ġhazal
chup-chāp suunī raat meñ yādoñ kā raqs ho
dil shor jab machā.e to kahtī huuñ maiñ ġhazal
dhaḌkan kā zor TuuTe ki jazbe hoñ qaid meñ
jab jaan phaḌphaḌā.e to kahtī huuñ maiñ ġhazal
koī nahīñ hai aasrā duniyā meñ ab mirā
par rab jo yaad aa.e to kahtī huuñ maiñ ġhazal
us ke vajūd se mirī raushan hai kā.enāt
beTī jo muskurā.e to kahtī huuñ maiñ ġhazal
yuuñ to 'urūsa' zabt se vāqif huuñ maiñ magar
jab ashk jhilmilā.e to kahtī huuñ maiñ ġhazal
ranj-o-alam satae to kahti hun main ghazal
furqat jo jaan jalae to kahti hun main ghazal
chup-chap suni raat mein yaadon ka raqs ho
dil shor jab machae to kahti hun main ghazal
dhaDkan ka zor TuTe ki jazbe hon qaid mein
jab jaan phaDphaDae to kahti hun main ghazal
koi nahin hai aasra duniya mein ab mera
par rab jo yaad aae to kahti hun main ghazal
us ke wajud se meri raushan hai kaenat
beTi jo muskurae to kahti hun main ghazal
yun to 'urusa' zabt se waqif hun main magar
jab ashk jhilmilae to kahti hun main ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.