ranj-o-gham dard-o-alam aah-o-fughan hai zindagi
ranj-o-ġham dard-o-alam āh-o-fuġhāñ hai zindagī
saikḌoñ unvān kī ik dāstāñ hai zindagī
jal rahe haiñ ḳhār-o-ḳhas un kā dhuāñ hai zindagī
shāḳh-e-gul par ik sulagtā āshiyāñ hai zindagī
dekhiye to ik habāb-e-mauj-e-dariyā bhī nahīñ
sochiye to ek bahr-e-bekarāñ hai zindagī
farsh-e-getī par farishtoñ ne bhī himmat haar dī
vo ġham-e-dil-doz vo bār-e-garāñ hai zindagī
dard-o-kulfat se na ghabrā ai 'mayank' is daur meñ
sabr-o-istiqlāl kā ik imtihāñ hai zindagī
ranj-o-gham dard-o-alam aah-o-fughan hai zindagi
saikDon unwan ki ek dastan hai zindagi
jal rahe hain KHar-o-KHas un ka dhuan hai zindagi
shaKH-e-gul par ek sulagta aashiyan hai zindagi
dekhiye to ek habab-e-mauj-e-dariya bhi nahin
sochiye to ek bahr-e-bekaran hai zindagi
farsh-e-geti par farishton ne bhi himmat haar di
wo gham-e-dil-doz wo bar-e-garan hai zindagi
dard-o-kulfat se na ghabra ai 'mayank' is daur mein
sabr-o-istiqlal ka ek imtihan hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.