ranj-o-gham ki jab mere dil mein farawani na thi
ranj-o-gham ki jab mere dil mein farawani na thi
Nadim Ashrafi Burhanpuri
MORE BYNadim Ashrafi Burhanpuri
ranj-o-ġham kī jab mire dil meñ farāvānī na thī
jī rahā thā maiñ magar jiine meñ āsānī na thī
mujh ko le pahuñchā junūn-e-shauq aisī bazm meñ
jis jagah koī bhī sūrat jānī-pahchānī na thī
kis ko fursat thī uThātā chāñd kī jānib nazar
kyā hamāre dil ke dāġhoñ meñ daraḳhshānī na thī
ek aisā vaqt bhī guzrā hai mujh par kyā kahūñ
jab mirī āvāz apnoñ ne bhī pahchānī na thī
ye haqīqat thī ki thā mere tasavvur kā kamāl
duur tere sang-e-dar se merī peshānī na thī
aisā lagtā hai ki koī inqalāb aane ko hai
varna pahle to nazar kuchh itnī dīvānī na thī
ranj-o-gham ki jab mere dil mein farawani na thi
ji raha tha main magar jine mein aasani na thi
mujh ko le pahuncha junun-e-shauq aisi bazm mein
jis jagah koi bhi surat jaani-pahchani na thi
kis ko fursat thi uThata chand ki jaanib nazar
kya hamare dil ke daghon mein daraKHshani na thi
ek aisa waqt bhi guzra hai mujh par kya kahun
jab meri aawaz apnon ne bhi pahchani na thi
ye haqiqat thi ki tha mere tasawwur ka kamal
dur tere sang-e-dar se meri peshani na thi
aisa lagta hai ki koi inqalab aane ko hai
warna pahle to nazar kuchh itni diwani na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.