ranj-o-gham monis bane hasrat se yarana hua
ranj-o-ġham monis bane hasrat se yārāna huā
ik qayāmat tujh pe zālim dil kā aa jaanā huā
mushkileñ ho jā.eñgī āsān us dam hijr kī
sabr kā jis vaqt bhī labrez paimāna huā
ek hichkī maut kī sab kaam puurā kar ga.ī
muḳhtasar yuuñ bekasī-e-ġham kā afsāna huā
raat din bas dard kī betābiyoñ se kaam hai
phir sukūñ us ko kahāñ jo terā dīvāna huā
ranj-o-gham monis bane hasrat se yarana hua
ek qayamat tujh pe zalim dil ka aa jaana hua
mushkilen ho jaengi aasan us dam hijr ki
sabr ka jis waqt bhi labrez paimana hua
ek hichki maut ki sab kaam pura kar gai
muKHtasar yun bekasi-e-gham ka afsana hua
raat din bas dard ki betabiyon se kaam hai
phir sukun us ko kahan jo tera diwana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.