khoya hai tu kin KHayalon mein raqib
khoyā hai tū kin ḳhayāloñ meñ raqīb
in siyah bāloñ yā gāloñ meñ raqīb
haath merā dekh kar un hāthoñ meñ
paḌ gayā āḳhir savāloñ meñ raqīb
kyā batā.ūñ shahr vāloñ kā tumheñ
sab se achchhā shahr vāloñ meñ raqīb
dostī gahrī thī pahle donoñ meñ
ho ga.e do ek sāloñ meñ raqīb
chhoḌne vaalā hī thā us ko magar
aa gayā yaksar ḳhayāloñ meñ raqīb
huuñ misāloñ meñ sar-e-fihrist maiñ
ġham to ye hai be misāloñ meñ raqīb
vo parī hāsil huī to hai sabab
jā rahe tū bhī ujāloñ meñ raqīb
tū ne 'bismil' fat.h paa.ī āḳhirash
rah gayā nākām chāloñ meñ raqīb
khoya hai tu kin KHayalon mein raqib
in siyah baalon ya galon mein raqib
hath mera dekh kar un hathon mein
paD gaya aaKHir sawalon mein raqib
kya bataun shahr walon ka tumhein
sab se achchha shahr walon mein raqib
dosti gahri thi pahle donon mein
ho gae do ek salon mein raqib
chhoDne wala hi tha us ko magar
aa gaya yaksar KHayalon mein raqib
hun misalon mein sar-e-fihrist main
gham to ye hai be misalon mein raqib
wo pari hasil hui to hai sabab
ja rahe tu bhi ujalon mein raqib
tu ne 'bismil' fath pai aaKHirash
rah gaya nakaam chaalon mein raqib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.