raqibon ka mujhse gila ho raha hai
raqīboñ kā mujh se gilā ho rahā hai
ye kyā kar rahe ho ye kyā ho rahā hai
duā ko nahīñ raah miltī falak kī
kuchh aisā hujūm-e-balā ho rahā hai
vo jo kar rahe haiñ bajā kar rahe haiñ
ye jo ho rahā hai bajā ho rahā hai
vo nā-āshnā bevafā merī zid se
zamāne kā ab āshnā ho rahā hai
chhupā.e hue dil ko phirte haiñ 'beḳhud'
ki ḳhvāhāñ koī dil-rubā ho rahā hai
raqibon ka mujh se gila ho raha hai
ye kya kar rahe ho ye kya ho raha hai
dua ko nahin rah milti falak ki
kuchh aisa hujum-e-bala ho raha hai
wo jo kar rahe hain baja kar rahe hain
ye jo ho raha hai baja ho raha hai
wo na-ashna bewafa meri zid se
zamane ka ab aashna ho raha hai
chhupae hue dil ko phirte hain 'beKHud'
ki KHwahan koi dil-ruba ho raha hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 190)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.