raqs karta tere wahan jata
raqs kartā tire vahāñ jaatā
maiñ na hotā mirā dhuāñ jaatā
tū kahānī meñ aa gayā varna
merā kirdār rā.egāñ jaatā
dasht sahrā haram tumhārī galī
maiñ akelā kahāñ-kahāñ jaatā
ab mujhe rok le qarīñ apne
thak gayā huuñ yahāñ-vahāñ jaatā
saf añdheroñ kī toḌ detā agar
ye diyā shab ke darmiyāñ jaatā
raqs karta tere wahan jata
main na hota mera dhuan jata
tu kahani mein aa gaya warna
mera kirdar raegan jata
dasht sahra haram tumhaari gali
main akela kahan-kahan jata
ab mujhe rok le qarin apne
thak gaya hun yahan-wahan jata
saf andheron ki toD deta agar
ye diya shab ke darmiyan jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.