raqsan sharar-e-dil teri mauj-e-suKHan se tha
raqsāñ sharār-e-dil tirī mauj-e-suḳhan se thā
tanhā.ī meñ ye qurb tirī anjuman se thā
merā suḳhan hī thā mirā sarmāya-e-hayāt
phir maiñ huā shahīd bhī apne suḳhan se thā
dānishvarī kā zahr na thā mujh pe kārgar
mere libās-e-ḳhās ḳhirad ke kafan se thā
luTne se bhī sivā thā shikast-e-yaqīñ kā ġham
shab-ḳhūñ kā ehtimāl to thā rāhzan se thā
the yār-e-tez-gām bhī jāda-shanās bhī
ruḳh un kā jo bhī thā vo havā ke chalan se thā
un se bichhaḌ ke huuñ koī āvāra ruuh maiñ
goyā mirā vajūd unhīñ ke badan se thā
gulchīn-o-bāġhbāñ hī nahīñ vāris-e-chaman
murġhān-e-naġhma-ḳhvāñ kā bhī rishta chaman se thā
raqsan sharar-e-dil teri mauj-e-suKHan se tha
tanhai mein ye qurb teri anjuman se tha
mera suKHan hi tha mera sarmaya-e-hayat
phir main hua shahid bhi apne suKHan se tha
danishwari ka zahr na tha mujh pe kargar
mere libas-e-KHas KHirad ke kafan se tha
luTne se bhi siwa tha shikast-e-yaqin ka gham
shab-KHun ka ehtimal to tha rahzan se tha
the yar-e-tez-gam bhi jada-shanas bhi
ruKH un ka jo bhi tha wo hawa ke chalan se tha
un se bichhaD ke hun koi aawara ruh main
goya mera wajud unhin ke badan se tha
gulchin-o-baghban hi nahin waris-e-chaman
murghan-e-naghma-KHwan ka bhi rishta chaman se tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.