raqsan ye kaenat hai chal raqs karte hain
raqsāñ ye kā.enāt hai chal raqs karte haiñ
har ek shai nashāt hai chal raqs karte haiñ
ham saare log nāchte zindāñ meñ qaid haiñ
so raqs hī najāt hai chal raqs karte haiñ
hote hī sub.h daar pe jā.eñge ham sabhī
lekin abhī to raat hai chal raqs karte haiñ
phir se vahī hai dasht vahī pyaas aur ham
phir se vahī furāt hai chal raqs karte haiñ
girdāb-e-bahr-e-ishq bahut duur hai to kyā
ġham kā bagūlā saath hai chal raqs karte haiñ
dhak dhak kī dhun pe raqs-kunāñ hai abhī bhī dil
ye kam kyā iltifāt hai chal raqs karte hai
raqsan ye kaenat hai chal raqs karte hain
har ek shai nashat hai chal raqs karte hain
hum sare log nachte zindan mein qaid hain
so raqs hi najat hai chal raqs karte hain
hote hi subh dar pe jaenge hum sabhi
lekin abhi to raat hai chal raqs karte hain
phir se wahi hai dasht wahi pyas aur hum
phir se wahi furaat hai chal raqs karte hain
girdab-e-bahr-e-ishq bahut dur hai to kya
gham ka bagula sath hai chal raqs karte hain
dhak dhak ki dhun pe raqs-kunan hai abhi bhi dil
ye kam kya iltifat hai chal raqs karte hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.