rasan-o-dar se ya ku-e-butan se uTThe
rasan-o-dar se ya ku-e-butan se uTThe
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
rasan-o-dār se yā kū-e-butāñ se uTThe
fitna har haal meñ fitna hai jahāñ se uTThe
kitne jāñ-soz o dil-āvez haiñ vo naġhme bhī
sho.ala ban kar jo mire husn-e-bayāñ se uTThe
donoñ aalam meñ kahīñ un ko Thikānā na milā
jo tirī bazm se uTThe vo jahāñ se uTThe
haa.e vo naale ki jo arsh-e-barīñ tak pahuñche
uf vo tūfāñ jo mire ashk-e-ravāñ se uTThe
kashish-e-husn ne ik gaam bhī chalne na diyā
phir vahīñ baiTh ga.e log jahāñ se uTThe
kaam kuchh kar na sakā vā.iz-e-nādāñ kā tilism
kitne tūfāñ mirī ḳhāmosh fuġhāñ se uTThe
in hijābāt kī azmat ko kahūñ kyā 'jauhar'
jo yaqīñ ban ke mire vahm-o-gumāñ se uTThe
rasan-o-dar se ya ku-e-butan se uTThe
fitna har haal mein fitna hai jahan se uTThe
kitne jaan-soz o dil-awez hain wo naghme bhi
shoala ban kar jo mere husn-e-bayan se uTThe
donon aalam mein kahin un ko Thikana na mila
jo teri bazm se uTThe wo jahan se uTThe
hae wo nale ki jo arsh-e-barin tak pahunche
uf wo tufan jo mere ashk-e-rawan se uTThe
kashish-e-husn ne ek gam bhi chalne na diya
phir wahin baiTh gae log jahan se uTThe
kaam kuchh kar na saka waiz-e-nadan ka tilism
kitne tufan meri KHamosh fughan se uTThe
in hijabaat ki azmat ko kahun kya 'jauhar'
jo yaqin ban ke mere wahm-o-guman se uTThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.