rashk apnon ko yahi hai humne jo chaha mila
rashk apnoñ ko yahī hai ham ne jo chāhā milā
bas hamīñ vāqif haiñ kyā māñgā ḳhudā se kyā milā
jis zamīñ pe merā ghar thā kyā mahal uTThā vahāñ
maiñ jo lauTā huuñ to ḳhāk-e-dar na ham-sāya milā
dekhiye kab tak mile insān ko rāh-e-najāt
laakh barsoñ meñ to vīrāñ chāñd kā rasta milā
har safar ik aarzū hai varna sair-e-dasht meñ
kis ko shahzādī milī hai kis ko shahzāda milā
sab purāne daaġh dil hī meñ rahe āḳhir 'na.īm'
har na.e dukh meñ na pichhle dukh se chhuTkārā milā
rashk apnon ko yahi hai hum ne jo chaha mila
bas hamin waqif hain kya manga KHuda se kya mila
jis zamin pe mera ghar tha kya mahal uTTha wahan
main jo lauTa hun to KHak-e-dar na ham-saya mila
dekhiye kab tak mile insan ko rah-e-najat
lakh barson mein to viran chand ka rasta mila
har safar ek aarzu hai warna sair-e-dasht mein
kis ko shahzadi mili hai kis ko shahzada mila
sab purane dagh dil hi mein rahe aaKHir 'naim'
har nae dukh mein na pichhle dukh se chhuTkara mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.