rashk is baat pe mar jata hai
rashk is baat pe mar jaatā hai
kam-se-kam milne to vo aatā hai
jaane kis taur jhelegā mujh ko
jī to is baat se ghabrātā hai
chashm ke qufl khule rahne lage
ḳhvāb bhī aane meñ sharmātā hai
chāshnī chāshnī lahja jis kā
āj-kal talḳhiyāñ farmātā hai
hijr se aas to hai barakat kī
ishq aatā hai chalā jaatā hai
rashk is baat pe mar jata hai
kam-se-kam milne to wo aata hai
jaane kis taur jhelega mujh ko
ji to is baat se ghabraata hai
chashm ke qufl khule rahne lage
KHwab bhi aane mein sharmata hai
chashni chashni lahja jis ka
aaj-kal talKHiyan farmata hai
hijr se aas to hai barakat ki
ishq aata hai chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.