rashk se ghairon ke ji khote hain hum
rashk se ġhairoñ ke jī khote haiñ ham
kyā buroñ kī jaan ko rote haiñ ham
be-ḳhudāna apnī hushyārī rahī
jāgte haiñ kuchh to kuchh sote haiñ ham
apne ghar rahne de kyoñ kar hūr-vash
hazrat-e-ādam hī ke pote haiñ ham
jāñ-kanī apnā hai kaam ai kohkan
ishq meñ patthar nahīñ Dhote haiñ ham
'dāġh' hai kis ko mayassar dard-e-ishq
ranj hotā hai to ḳhush hote haiñ ham
rashk se ghairon ke ji khote hain hum
kya buron ki jaan ko rote hain hum
be-KHudana apni hushyari rahi
jagte hain kuchh to kuchh sote hain hum
apne ghar rahne de kyon kar hur-wash
hazrat-e-adam hi ke pote hain hum
jaan-kani apna hai kaam ai kohkan
ishq mein patthar nahin Dhote hain hum
'dagh' hai kis ko mayassar dard-e-ishq
ranj hota hai to KHush hote hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.