rasm aisoñ se baḌhānā hī na thā
ḳhidmat-e-nāseh meñ jaanā hī na thā
baḌh ga.e kuchh aur un ke hausle
rone vāloñ ko hañsānā hī na thā
dil kā bhī rakhnā thā ham ko kuchh ḳhayāl
is tarah aañsū bahānā hī na thā
kal zamāna ḳhud miTā detā jinheñ
aise naqshoñ ko miTānā hī na thā
be-piye vaa.iz ko merī raa.e meñ
masjid-e-jāma meñ jaanā hī na thā
rah gayā āñkhoñ meñ naqsha aap kā
naza.a meñ sūrat dikhānā hī na thā
ḳhud vo de dete to achchhā thā 'azīz'
kyā kaheñ yuuñ zahr khānā hī na thā
rasm aison se baDhana hi na tha
KHidmat-e-naseh mein jaana hi na tha
baDh gae kuchh aur un ke hausle
rone walon ko hansana hi na tha
dil ka bhi rakhna tha hum ko kuchh KHayal
is tarah aansu bahana hi na tha
kal zamana KHud miTa deta jinhen
aise naqshon ko miTana hi na tha
be-piye waiz ko meri rae mein
masjid-e-jama mein jaana hi na tha
rah gaya aankhon mein naqsha aap ka
naza mein surat dikhana hi na tha
KHud wo de dete to achchha tha 'aziz'
kya kahen yun zahr khana hi na tha
Source :
- Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.