rasm-e-duniya ko nibhate jaiye
rasm-e-duniyā ko nibhāte jā.iye
ġham ko siine se lagāte jā.iye
bazla-sanjī se na baaz aa.e agar
ham na lauTeñge bulāte jā.iye
hukm-e-nau ik aur jaarī ho gayā
choT khā kar muskurāte jā.iye
ḳhaak nazroñ meñ hamārī jhoñkiye
ḳhaak meñ ham ko milāte jā.iye
aa.ina ho kar rahūñgī aap kā
merī nazroñ meñ samāte jā.iye
zulmat-e-shab ko sajā kar taaq par
ik diyā ḳhud bhī jalāte jā.iye
hai uThāne kī sakat jo aap meñ
tohmat-e-duniyā uThāte jā.iye
ratjage 'raziya' se ab haiñ multamis
yaad ko apnī sulāte jā.iye
rasm-e-duniya ko nibhate jaiye
gham ko sine se lagate jaiye
bazla-sanji se na baz aae agar
hum na lauTenge bulate jaiye
hukm-e-nau ek aur jari ho gaya
choT kha kar muskuraate jaiye
KHak nazron mein hamari jhonkiye
KHak mein hum ko milate jaiye
aaina ho kar rahungi aap ka
meri nazron mein samate jaiye
zulmat-e-shab ko saja kar taq par
ek diya KHud bhi jalate jaiye
hai uThane ki sakat jo aap mein
tohmat-e-duniya uThate jaiye
ratjage 'raziya' se ab hain multamis
yaad ko apni sulate jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.