rasm-e-girya bhi uTha di humne
rasm-e-girya bhī uThā dī ham ne
āḳhirī sham' bujhā dī ham ne
ek mauhūm tasavvur ke liye
ruuh kī aab gañvā dī ham ne
darmiyān-e-dil o gulzār-e-hayāt
ġham kī dīvār uThā dī ham ne
raakh bhī paa.e na koī apnī
ab ke vo aag lagā dī ham ne
sansanāte rahe taare pahroñ
kyuuñ tirī baat sunā dī ham ne
har kaḌī raah meñ har manzil par
tere hī ġham ko sadā dī ham ne
aas ke bujhte hue sho.ale ko
tere dāman se havā dī ham ne
jab tujhe bhūlnā chāhā dil ne
ik na.e ġham kī sazā dī ham ne
koī ġhuncha kisī goshe meñ khilā
baaġh meñ dhuum machā dī ham ne
kaisī ābād thī duniyā 'shohrat'
kaisī sunsān banā dī ham ne
rasm-e-girya bhi uTha di hum ne
aaKHiri sham' bujha di hum ne
ek mauhum tasawwur ke liye
ruh ki aab ganwa di hum ne
darmiyan-e-dil o gulzar-e-hayat
gham ki diwar uTha di hum ne
rakh bhi pae na koi apni
ab ke wo aag laga di hum ne
sansanate rahe tare pahron
kyun teri baat suna di hum ne
har kaDi rah mein har manzil par
tere hi gham ko sada di hum ne
aas ke bujhte hue shoale ko
tere daman se hawa di hum ne
jab tujhe bhulna chaha dil ne
ek nae gham ki saza di hum ne
koi ghuncha kisi goshe mein khila
bagh mein dhum macha di hum ne
kaisi aabaad thi duniya 'shohrat'
kaisi sunsan bana di hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.