rasm-e-sajda bhi uTha di humne
rasm-e-sajda bhī uThā dī ham ne
azmat-e-ishq baḌhā dī ham ne
jab koī taaza shagūfa phūTā
kī gulistāñ meñ munādī ham ne
jab chaman meñ na kahīñ chain milā
bāb-e-zindāñ pe sadā dī ham ne
aañch sayyād ke ghar tak pahuñchī
itnī sho.aloñ ko havā dī ham ne
ḳhūn-e-dil se dar-e-mai-ḳhāna par
terī tasvīr banā dī ham ne
dil ko aane lagā basne kā ḳhayāl
aag jab ghar ko lagā dī ham ne
rasm-e-sajda bhi uTha di hum ne
azmat-e-ishq baDha di hum ne
jab koi taza shagufa phuTa
ki gulistan mein munadi hum ne
jab chaman mein na kahin chain mila
bab-e-zindan pe sada di hum ne
aanch sayyaad ke ghar tak pahunchi
itni shoalon ko hawa di hum ne
KHun-e-dil se dar-e-mai-KHana par
teri taswir bana di hum ne
dil ko aane laga basne ka KHayal
aag jab ghar ko laga di hum ne
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 355)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 )
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.