rasm-e-ulfat ko nibhaen to nibhaen kaise
rasm-e-ulfat ko nibhā.eñ to nibhā.eñ kaise
har taraf aag hai dāman ko bachā.eñ kaise
dil kī rāhoñ meñ uThāte haiñ jo duniyā vaale
koī kah de ki vo dīvār girā.eñ kaise
dard meñ Duube hue naġhme hazāroñ haiñ magar
sāz-e-dil TuuT gayā ho to sunā.eñ kaise
bojh hotā jo ġhamoñ kā to uThā bhī lete
zindagī bojh banī ho to uThā.eñ kaise
rasm-e-ulfat ko nibhaen to nibhaen kaise
har taraf aag hai daman ko bachaen kaise
dil ki rahon mein uThate hain jo duniya wale
koi kah de ki wo diwar giraen kaise
dard mein Dube hue naghme hazaron hain magar
saz-e-dil TuT gaya ho to sunaen kaise
bojh hota jo ghamon ka to uTha bhi lete
zindagi bojh bani ho to uThaen kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.