rasm-o-rah-e-awam kya jaane
Interesting Fact
(May 1942)
rasm-o-rāh-e-avām kyā jaane
'āshiqī nang-o-nām kyā jaane
dar-guzar meñ jo lutf pinhāñ hai
ḳhūgar-e-intiqām kyā jaane
na ho jis dil meñ soz-e-sham-e-amal
juz-suḳhan juz-kalām kyā jaane
mauj-e-dariyā kī ho ravish jis meñ
vo sukūn-o-qayām kyā jaane
talḳhiyāñ ranj-e-be-navā.ī kī
ḳhātir-e-shād-kām kyā jaane
pūchhiye mai-kashoñ se lutf-e-sharāb
shīsha kyā jaane jaam kyā jaane
husn-e-fitrat kā jāvedāñ honā
basta-e-sub.h-o-shām kyā jaane
bandagī meñ ho be-ḳhudī jis kī
vo ḳhudī kā maqām kyā jaane
sa.ī-e-takmīl-o-azm-e-pā.inda
jazba-e-nā-tamām kyā jaane
jise irfān-e-hijr hāsil ho
vo payām-o-salām kyā jaane
kyā haiñ āzād zindagī ke maze
koī mānūs-e-dām kyā jaane
raah ke sang-o-ḳhisht kī iizā
rahrav-e-tez-gām kyā jaane
dam-e-raftār kaifiyat dil kī
koī mahshar-ḳhirām kyā jaane
martaba kufr-e-ishq kā 'tālib'
shaiḳh-ए-bait-ul-harām kyā jaane
rasm-o-rah-e-awam kya jaane
'ashiqi nang-o-nam kya jaane
dar-guzar mein jo lutf pinhan hai
KHugar-e-intiqam kya jaane
na ho jis dil mein soz-e-sham-e-amal
juz-suKHan juz-kalam kya jaane
mauj-e-dariya ki ho rawish jis mein
wo sukun-o-qayam kya jaane
talKHiyan ranj-e-be-nawai ki
KHatir-e-shad-kaam kya jaane
puchhiye mai-kashon se lutf-e-sharab
shisha kya jaane jam kya jaane
husn-e-fitrat ka jawedan hona
basta-e-subh-o-sham kya jaane
bandagi mein ho be-KHudi jis ki
wo KHudi ka maqam kya jaane
sai-e-takmil-o-azm-e-painda
jazba-e-na-tamam kya jaane
jise irfan-e-hijr hasil ho
wo payam-o-salam kya jaane
kya hain aazad zindagi ke maze
koi manus-e-dam kya jaane
rah ke sang-o-KHisht ki iza
rahraw-e-tez-gam kya jaane
dam-e-raftar kaifiyat dil ki
koi mahshar-KHiram kya jaane
martaba kufr-e-ishq ka 'talib'
shaiKH-ए-bait-ul-haram kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.