rasm-o-rah-e-dahr kya josh-e-mohabbat bhi to ho
rasm-o-rāh-e-dahr kyā josh-e-mohabbat bhī to ho
TuuT jaatī hai har ik zanjīr vahshat bhī to ho
zindagī kyā maut kyā do karvaTeñ haiñ 'ishq kī
sone vaale chauñk uTTheñge qayāmat bhī to ho
''harche bādā-bād'' ke na.aroñ se duniyā kaañp uThī
'ishq ke itnā koī bargashta qismat bhī to ho
kār-zār-e-dahr meñ har kaif har mastī bajā
kuchh sharīk-e-be-ḳhudī rindāna-e-jur.at bhī to ho
kam nahīñ ahl-e-havas kī bhī ḳhayāl-ārā.iyāñ
ye fanā kī had se bhī baḌh jaa.eñ himmat bhī to ho
kuchh ishārāt-e-nihāñ hoñ to nigāh-e-nāz ke
bhāñp leñge ham ye mahfil rashk-e-ḳhalvat bhī to ho
ab to kuchh ahl-e-razā bhī ho chale māyūs se
har jafā-e-nā-ravā kī kuchh nihāyat bhī to ho
har nafas se aa.e bū-e-ātish-e-sayyāl-e-ishq
aag vo dil meñ lahū meñ vo harārat bhī to ho
ye tire jalve ye chashm-e-shauq kī hairāniyāñ
barq-e-husn-e-yār nazzāre kī fursat bhī to ho
gardish-e-daurāñ meñ ik din aa rahegā hosh bhī
ḳhatm ai chashm-e-siyah ye daur-e-ġhaflat bhī to ho
har dil-e-afsurda se chingāriyāñ uḌ jā.eñgī
kuchh tirī mā'sūm āñkhoñ meñ sharārat bhī to ho
ab vo itnā bhī nahīñ begāna-e-vaj.h-e-malāl
pursish-e-ġham us ko aatī hai zarūrat bhī to ho
ek sī haiñ ab to husn-o-'ishq kī majbūriyāñ
ham hoñ yā tum ho vo ahd-e-bā-farāġhat bhī to ho
dekh kar rañg-e-mizāj-e-yār kyā kahiye 'firāq'
is meñ kuchh gunjā.ish-e-shukr-o-shikāyat bhī to ho
rasm-o-rah-e-dahr kya josh-e-mohabbat bhi to ho
TuT jati hai har ek zanjir wahshat bhi to ho
zindagi kya maut kya do karwaTen hain 'ishq ki
sone wale chaunk uTThenge qayamat bhi to ho
harche baada-baad ke naron se duniya kanp uThi
'ishq ke itna koi bargashta qismat bhi to ho
kar-zar-e-dahr mein har kaif har masti baja
kuchh sharik-e-be-KHudi rindana-e-jurat bhi to ho
kam nahin ahl-e-hawas ki bhi KHayal-araiyan
ye fana ki had se bhi baDh jaen himmat bhi to ho
kuchh ishaaraat-e-nihan hon to nigah-e-naz ke
bhanp lenge hum ye mahfil rashk-e-KHalwat bhi to ho
ab to kuchh ahl-e-raza bhi ho chale mayus se
har jafa-e-na-rawa ki kuchh nihayat bhi to ho
har nafas se aae bu-e-atish-e-sayyal-e-ishq
aag wo dil mein lahu mein wo hararat bhi to ho
ye tere jalwe ye chashm-e-shauq ki hairaniyan
barq-e-husn-e-yar nazzare ki fursat bhi to ho
gardish-e-dauran mein ek din aa rahega hosh bhi
KHatm ai chashm-e-siyah ye daur-e-ghaflat bhi to ho
har dil-e-afsurda se chingariyan uD jaengi
kuchh teri ma'sum aankhon mein shararat bhi to ho
ab wo itna bhi nahin begana-e-wajh-e-malal
pursish-e-gham us ko aati hai zarurat bhi to ho
ek si hain ab to husn-o-'ishq ki majburiyan
hum hon ya tum ho wo ahd-e-ba-faraghat bhi to ho
dekh kar rang-e-mizaj-e-yar kya kahiye 'firaq'
is mein kuchh gunjaish-e-shukr-o-shikayat bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.