rasta bhi hami log the rahi bhi hamin the
rasta bhī hamī log the raahī bhī hamīñ the
aur apnī masāfat kī gavāhī bhī hamīñ the
jo jañg chhiḌī thī use jiite bhī hamīñ log
ran chhoḌ ke bhāge vo sipāhī bhī hamīñ the
vo shahr basā bhī thā hamārī hī badaulat
is shahr-e-tamannā kī tabāhī bhī hamīñ the
raushan bhī hamī se rahī taqdīr hamārī
aur apne muqaddar kī siyāhī bhī hamīñ the
hai daam jo dariyā meñ vo pheñkā thā hamīñ ne
us daam meñ phañstī huī maahī bhī hamīñ the
rasta bhi hami log the rahi bhi hamin the
aur apni masafat ki gawahi bhi hamin the
jo jang chhiDi thi use jite bhi hamin log
ran chhoD ke bhage wo sipahi bhi hamin the
wo shahr basa bhi tha hamari hi badaulat
is shahr-e-tamanna ki tabahi bhi hamin the
raushan bhi hami se rahi taqdir hamari
aur apne muqaddar ki siyahi bhi hamin the
hai dam jo dariya mein wo phenka tha hamin ne
us dam mein phansti hui mahi bhi hamin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.