rasta rokti KHamoshi ne kaun si baat sunani hai
rasta rokti KHamoshi ne kaun si baat sunani hai
Ambarin Salahuddin
MORE BYAmbarin Salahuddin
rasta roktī ḳhāmoshī ne kaun sī baat sunānī hai
raat kī āñkheñ jaan rahī haiñ kis ke paas kahānī hai
aañkh ne vahshat oḌhī hai yā manzar meñ hairānī hai
dasht ne dāman jhaaḌ ke pūchhā ab kaisī vīrānī hai
manzar hai khiḌkī ke andar yā hai khiḌkī se bāhar
gardūñ kī gīrā.ī hai yā ḳhaak ne chādar taanī hai
kauñde se lapke paḌte haiñ chuTkī bhar nīlāhaT se
tāroñ meñ manzar khulne se pahle kī hairānī hai
saare sañg-e-mīl bhī manzil ho sakte haiñ bhed khulā
hāthoñ kī rekhāoñ meñ har manzil ek nishānī hai
aap kaheñ to tiin zamāne ek hī lahr meñ bah nikleñ
aap kaheñ to saarī bātoñ meñ aisī āsānī hai
roz-o-shab ke bandhan khol ke vaqt kā dariyā chal nikle
aap kaheñ to dānā.ī hai ham kah deñ nādānī hai
raat kī chādar tah hone tak dhuup kā jaadū khulne tak
darvāze ke band kivāḌoñ se ik baat chhupānī hai
jitne pul tak raqs kareñgī kirneñ barf kī qāshoñ par
kohsāroñ ke dāman meñ bhī tab tak ek kahānī hai
rasta rokti KHamoshi ne kaun si baat sunani hai
raat ki aankhen jaan rahi hain kis ke pas kahani hai
aankh ne wahshat oDhi hai ya manzar mein hairani hai
dasht ne daman jhaD ke puchha ab kaisi virani hai
manzar hai khiDki ke andar ya hai khiDki se bahar
gardun ki girai hai ya KHak ne chadar tani hai
kaunde se lapke paDte hain chuTki bhar nilahaT se
taron mein manzar khulne se pahle ki hairani hai
sare sang-e-mil bhi manzil ho sakte hain bhed khula
hathon ki rekhaon mein har manzil ek nishani hai
aap kahen to tin zamane ek hi lahr mein bah niklen
aap kahen to sari baaton mein aisi aasani hai
roz-o-shab ke bandhan khol ke waqt ka dariya chal nikle
aap kahen to danai hai hum kah den nadani hai
raat ki chadar tah hone tak dhup ka jadu khulne tak
darwaze ke band kiwaDon se ek baat chhupani hai
jitne pul tak raqs karengi kirnen barf ki qashon par
kohsaron ke daman mein bhi tab tak ek kahani hai
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 126)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.