raste mein KHak ho ke bikharna zarur hai
raste meñ ḳhaak ho ke bikharnā zarūr hai
manzil tak is amal se guzarnā zarūr hai
jo sīḌhiyāñ lagā ke falak par pahuñch ga.e
ik din zamīñ pe un ko utarnā zarūr hai
tinkoñ se chāhe log nasheman banā bhī leñ
tinkoñ ko āñdhiy.oñ meñ bikharnā zarūr hai
jī chāhtā thā chalte raheñ rāste ke saath
manzil ab aa ga.ī to Thaharnā zarūr hai
kitnā hī sat.h-e-āb unheñ roktī rahe
maujoñ ko apnī tah se ubharnā zarūr hai
'mohsin' shikast-o-reḳht hai tā’mīr hī kā ruḳh
banñā jise hai us ko bikharnā zarūr hai
raste mein KHak ho ke bikharna zarur hai
manzil tak is amal se guzarna zarur hai
jo siDhiyan laga ke falak par pahunch gae
ek din zamin pe un ko utarna zarur hai
tinkon se chahe log nasheman bana bhi len
tinkon ko aandhiyon mein bikharna zarur hai
ji chahta tha chalte rahen raste ke sath
manzil ab aa gai to Thaharna zarur hai
kitna hi sath-e-ab unhen rokti rahe
maujon ko apni tah se ubharna zarur hai
'mohsin' shikast-o-reKHt hai ta’mir hi ka ruKH
banna jise hai us ko bikharna zarur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.