raunaq-e-bazm-e-dil se ruKHsat mangi thi
raunaq-e-bazm-e-dil se ruḳhsat māñgī thī
sabz rutoñ meñ ḳhud se hijrat māñgī thī
barf banī jab kaalī raat kī tanhā.ī
maiñ ne jalte jism kī hiddat māñgī thī
jannat kī har shai is karb se vāqif hai
pahle mard ne kyoñ ik aurat māñgī thī
us qābīl se ham haiñ jis ne maqtal meñ
bār-e-digar sab nasl kī zillat māñgī thī
zar ke Dher ke ik jānib kuchh phuul the aur
shāh-e-vaqt se maiñ ne mohabbat māñgī thī
raunaq-e-bazm-e-dil se ruKHsat mangi thi
sabz ruton mein KHud se hijrat mangi thi
barf bani jab kali raat ki tanhai
main ne jalte jism ki hiddat mangi thi
jannat ki har shai is karb se waqif hai
pahle mard ne kyon ek aurat mangi thi
us qabil se hum hain jis ne maqtal mein
bar-e-digar sab nasl ki zillat mangi thi
zar ke Dher ke ek jaanib kuchh phul the aur
shah-e-waqt se main ne mohabbat mangi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.