raunaq-e-dil baDhae rakhte hain
raunaq-e-dil baḌhā.e rakhte haiñ
ġham ko mehmāñ banā.e rakhte haiñ
raat ḳhvāboñ meñ jāgne ke liye
ḳhud ko din bhar sulā.e rakhte haiñ
āḳhirash dil ġhurūb hotā hai
jis qadar ham bachā.e rakhte haiñ
hasratoñ ke charāġh jalte haiñ
ḳhud se hī lau lagā.e rakhte haiñ
dil kī tanhā.ī anjuman apnī
sab se dāman bachā.e rakhte haiñ
raunaq-e-dil baDhae rakhte hain
gham ko mehman banae rakhte hain
raat KHwabon mein jagne ke liye
KHud ko din bhar sulae rakhte hain
aaKHirash dil ghurub hota hai
jis qadar hum bachae rakhte hain
hasraton ke charagh jalte hain
KHud se hi lau lagae rakhte hain
dil ki tanhai anjuman apni
sab se daman bachae rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.